Table No. 21 -Mann Mera- Lyrics


Song: Mann Mera
Film: Table No. 21
Singer/Composer: Gajendra Verma
Lyricist: Aseem Ahmed Abbasi
Music Label: Eros International
Picturised on: Rajeev Khandelwal & Tena Desae

Saari raat aahein bharta

Pal pal yaadon me marta

Maane na meri mann mera

Thode thode hosh madhoshi si hai

Neend behoshi si hai

Jaane kuch bhi na mann mera

Kabhi mera tha par ab begana hai ye

Deewana deewana samjhe na ho...


Kabhi chup chup rahe

Kabhi gaaya yeh kare

Bin poochhe teri taarife sunaya yeh kare

Hai koi Haqiqat tu ya koi fasana hai

Kuch jaane agar tto itna ke

Yeh tera deewana hai re

Mann mera, maane na mann mera


Rag rag woh samaya mere

Dil par woh chhaya mere

Mujhme vo aise jaise jaan

Gire barsaat me paani jaise

Koi kahaani jaise dil se ho dil tak jo bayaan

Aashiq dil tera puraana hai ye

Deewana deewana samjhe na ho...


Kabhi chup chup rahe

Kabhi gaaya ye kare

Bin poochhe teri taarife sunaya yeh kare

Hai koi haqiqat tu ya koi fasana hai

Kuch jaane agar to itna ke

Yeh tera deewana hai

Re mann mera, mane na mann mera


Tujhko jo dekhe, ye mujhko leke

Bas tere peeche peeche bhaage

Tera junoon hai, tu hi sukoon hai

Tujhse hi baandhe dil ke dhaage

Mann mera... maane na mann mera

Kabhi chup chup rahe

Kabhi gaya yeh kare

Bin poochhe teri taarife sunaya yeh kare

Hai koi haqiqat tu ya koi fasana hai

Kuch jaane agar to itna ke yeh tera deewana hai

Re mann mera ... mane na mann mera

Powered by Blogger.

Popular Posts

- Copyright © Table No 21 Songs Lyrics 2013 -Metrominimalist- Powered by Blogger - Designed by Johanes Djogan -